Friday, February 09, 2007

Safar

Yaad hai
tum aur main
lambi, ghumaavdar sadak par
bina kuch bole
bematlab, beparvah
meelon chala karte the
khambon ko gina karte the
aur jab main chalte chalte thak jaata
tum kehti
bas us agle khambe tak aur

aaj main akela hi us sadak par nikal aaya hoon
aaj bhi us agle khambe tak pahunchna chahta hoon
sochta hoon
tumhe jaldi chalne ki aadat thi
shayad tum vahan pahunchkar
mera intezaar kar rahi ho