aur tum aao
kabhi yoon bhi to ho
Pariyon ki mehfil ho, koi tumhari baat ho
aur tum aao
kabhi yoon bhi to ho
Sooni har mehfil ho, koi na mere saath ho
aur tum aao
kabhi yoon bhi to ho
Ye baadal aise toot ke barse, mere dil ki tarah, milne ko tumhara dil bhi tarse
tum niklo ghar se, kabhi yoon bhi to ho
Tanhaai ho, dil do
boonde hon barsaat ho aur tum aao.
----------------------------------------------------------------------------------------------
Mera khudaWoh kaath ke purze uda raha tha
hawavon ka roop dikha raha tha
kuch aur bhi ho gaya numaayan
main apna likha mita raha tha
usi ka eemaan badal gaya hai
kabhi jo mera khuda raha tha
wo ek din ek ajnabi ko
meri kahani suna raha tha
wo umr kam kar raha tha meri
main saal apne badha raha tha
2 comments:
bravo
Innondisht togo!
Ajnabi na hum paraaye hain
tere hi jism-o-jaan ke saaye hain
tune udti si ek nazar ki thi
hamne khwaabon ke ghar basaaye the!
tere hi jism-o-jaan ke saaye hain
Ek tu hai ki teri raahon
Khud hawa ne diye jalaaye hain!
tere hi jism-o-jaan ke saaye hain
-----------------------------------
Kaash aisa koi manzar hota
Mere kaandhe pe tera sar hota
-----------------------------------
Maikade band kare laakh zamaane waale
Shehar me kam nahin aankhon se pilaane waale
Kaash mujhko bhi laga leti tu kabhi seene se
Meri tasveer ko seene se lagaane waale! ;)
:sigh !! There u go again
Post a Comment